
Rashid Taraz
pasban ban ke irada mire aage hoga
hoga payab jo dariya mire aage hoga
zer ho ja.egi har tira-shabi aḳhir-kar
teri surat ka ujala mire aage hoga
ab to main aag se khelunga charaghan kar ke
shahr tarik ye saara mire aage hoga
main magar ja.unga rakkhe hue ankhon par haath
laakh rahon men tamasha mire aage hoga
ab main is raah pe chal nikla huun ‘rashid’ ki jahan
kuchh na hone ka nazara mire aage hoga

Leave a Reply