is tarah ishq ka azar na ji ko hoga
jo mujhe dukh hai vo shayad na kisi ko hoga
mastiyan baḌh ke miri ḳhud hi bala.en lengi
auj hasil vo miri bada-kashi ko hoga
main mohabbat ke masa.il ko samajh sakta huun
samne mere ye da.ava na kisi ko hoga
ishq ka gard-e-kasafat se ta.alluq kya hai
jis ka dil paak hai ye rog usi ko hoga
mire ash.ar men kya kya hain ‘munavar’ nukte
is ka andaza kisi mard-e-vali ko hoga
Leave a Reply