yuun shahr ke bazar men kya kya nahin milta
par husn men saani koi tera nahin nahin milta
jo kuchh dil-e-nakam ne chaha nahin milta
manzil nahin milti kabhi rasta nahin milta
lahja nahin milta kabhi chehra nahin milta
duniya men hamen ek bhi tum sa nahin milta
chhoḌa hai jo ik ghar ko to duuja nahin milta
ab dil sa tire koi Thikana nahin milta
aati hai ḳhushi gar to vo milti hai adhuri
gham jab kabhi milta hai akela nahin milta
Leave a Reply