
Poet
jo mera le gaya dil kaun vo insan hai kya hai
pari hai ya malak ya huur ya ghilman hai kya hai
nazar zulfon pe us ki ja paḌi jis ki laga kahne
ye donon saanp hain ya kakul-e-pechan hai kya hai
gaya huun bhuul sab kuchh duḳhtar-e-raz jaise haath aa.i
jigar hai jaan hai iman hai iqan hai kya hai
hamare yaar ke kuchh darmiyan jo baat bol uTThe
raqib-e-ru-siyah ghammaz ya shaitan hai kya hai
zamin par jhankte hain roz-o-shab aflak se kis ko
mah-o-ḳhur ya kisi ka dida-e-hairan hai kya hai
mire rone ko dekha hijr men jis ne so yuun bola
jhaḌi barsat ki ya mauja-e-tufan hai kya hai
ba-josh-e-ishq laTke hai nahin mujh ko tamiz itni
ba-mizhgan laḳht-e-dil ya dur hai ya marjan hai kya hai
miri chhati pe rakh kar dast ki tashḳhis hukama ne
ye siina kan-e-gandhak ya ki atish-dan hai kya hai
jale siine se duud uTTha dimagh ashufta kar Daala
mukarrar dil bhuna ya phir jigar biryan hai kya hai
na bhuul ai ḳhizr mar jaana hai aḳhir Tuk jiya to kya
agar madam hai kya hai vagar yak aan hai kya hai
fana-fishshaiḳh ho, tafriq ‘afridi’ na kar hargiz
nabi hai ya ali ya hafiz-e-qur.an hai kya hai

Leave a Reply