• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Uqda-E-Tadir-E-Jahan Khol Rahi Hai

Har Uqda-E-Tadir-E-Jahan Khol Rahi Hai

firaq-gorakhpuri

har uqda-e-tadir-e-jahan khol rahi hai

haan dhyan se sunna ye sadi bol rahi hai

angdaiyan leti hai tamanna tiri dil men

shishe men pari naaz ke par tol rahi hai

rah rah ke khanak jaati hai saaqi ye shab-e-mah

ik jaam pila khunki-e-shab bol rahi hai

dil tang hai shab ko kafan-e-nur pahna ke

vo subh jo ghunchon ki girah khol rahi hai

ik aag laga deti hai divanon ke dil men

ghunchon ki ragon men jo tiri dol rahi hai

chhalkati hai jo aankh nigahon se gulabi

is parde men vo zahr bhi kuchh ghol rahi hai

shabnam ki damak hai vo shab-e-mah ki devi

moti sar-e-gulzar-e-jahan rol rahi hai

rakhti hai mashiyyat had-e-parvaz jahan bhi

insan ki himmat vahin par tol rahi hai

pahlu men shab-e-tar ke hai kaun si duniya

jis ke liye aghosh sahar khol rahi hai

har aan vo rag rag men chatakti hui kaliyan

is shokh hai paimana-e-mai bol rahi hai

khush hai dil-e-gham-ghin bhi ghanimat hai ye vaqfa

us ki nigah-e-naz bhi hans bol rahi hai

go husn ki qimat hai azal hi se do-alam

vo jins-e-mohabbat hai jo anmol rahi hai

phir az-sar-e-nau chaunkti jaati hain nigahen

khamoshi hain aflak zamin bol rahi hai

ik kashf-e-karamat ka aalam hai gulistan

ya bad-e-saba raz-e-jahan khol rahi hai

chhidte hi ghazal badhte chale raat ke saae

avaz miri gesu-e-shab khol rahi hai

aata hai ‘firaq’ aaj idhar bahr-e-ziyarat

but-khane ki khamosh faza bol rahi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Azmat-E-Fikr Ke Andaz Ayan Bhi Honge

ahmad-masoom

Kah dale Ghazlon Nazmon Mein Afsane Kya Kya

afzal-minhas

Har Chand Zindagi Ka Safar Mushkilon Mein Hai

jhuTi KHabren ghaDne Wale jhuTe Sher Sunane Wale

Akasr Raat Gae Tak Main chaukhaT Par baiTha Rahta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet