main bhi gum maazi men tha
dariya bhi jaldi men tha
ek bala ka shor-o-ghul
meri ḳhamoshi men tha
bhar aa.iin us ki ankhen
phir dariya kashti men tha
ek hi mausam taari kyuun
dil ki phulvari men tha
sahra sahra bhaTka main
vo dil ki basti men tha
lamha lamha raakh hua
main bhi kab jaldi men thaa?
Leave a Reply