saa.e ki tarah baḌh na kabhi qad se ziyada
thak ja.ega bhagega agar had se ziyada
mumkin hai tire haath se miT jaa.en lakiren
ummid na rakh gauhar-e-maqsad se ziyada
lag jaa.e na tujh par hi tire qatl ka ilzam
badnam to hota hai bura bad se ziyada
ḳhvahish hai baḌa.i ki to andar se baḌa ban
kar zehn ki bhi nashv-o-numa qad se ziyada
dekhun to mire jism pe shaḳhen hain na patte
sochun to ghana chhanv main bargad se ziyada
rahne do ḳhalaon men miri qabr na khodo
hai pyaar mujhe ḳhaak ki masnad se ziyada
ankhen to lagi rahti hain darvaze ki janib
milti hai ḳhushi apni hi aamad se ziyada
kya janiye kya baat hai ik umr se ‘sajid’
viran hai TuuTe hue marqad se ziyada
Leave a Reply