gali se apni uThata hai vo bahane se
main be-ḳhabar rahun duniya ke aane jaane se
kabhi kabhi to ghanimat hai yaad rafta ki
biTha na roz laga ke use sirhane se
ajiib shaḳhs tha main bhi bhula nahin paaya
kiya na us ne bhi inkar yaad aane se
uTha rakhi hai kisi ne kaman suraj ki
gira raha hai mire raat din nishane se
koi sabab to hai aisa ki ek umr se hain
zamana mujh se ḳhafa aur main zamane se
Leave a Reply