Dushman-E-Jaan Bhi Wahi Hasil-E-Arman Bhi Wahi

dushman-e-jāñ bhī vahī hāsil-e-armāñ bhī vahī

ġham kā sāmāñ bhī vahī dard kā darmāñ bhī vahī

lutf-e-gul-gasht magar ab vo kahāñ tere baġhair

rang-e-gulshan hai vahī josh-e-bahārāñ bhī vahī

ba.ad dīvāne ke aglī sī vo raunaq na rahī

bazm-e-ḳhūbāñ hai vahī shahr-e-nigārāñ bhī vahī

aaj tak ātish-e-ġham jān-e-jahāñ kam na huī

zaḳhm haiñ ab bhī vahī sozish-e-pinhāñ bhī vahī

ḳhanda-bar-lab jo the hangām atā-e-ġham-e-dil

jaane kyā guzrī nazar aa.e pashemāñ bhī vahī

Duubā jaatā hai ye kyuuñ aaj dil-e-zār ‘shakeb’

bazm-e-ahbāb vahī aish ke sāmāñ bhī vahī

Leave a Comment