ik baar phir kaho usi naz-o-ada ke saath
tu ne tamam umr guzari vafa ke saath
saaqi sharab-e-nab maza de rahi hai aur
is ittifaq-e-vaqt is abr-o-hava ke saath
ye kya bata.en ham ki sharik-e-safar tha kaun
manzil pe aa ga.e hain kisi rahnuma ke saath
jaur-o-jafa men buḳhl nigah-e-karam men uzr
ye kya suluk hai dil-e-dard-ashna ke saath
us sang-dil ko rahm na aa.e to kya karun
sar rakh diya hai paaon pe kis iltija ke saath
is iltifat-e-ḳhas pe qurban jan-o-dil
vo mujh se pesh aa.e hain kis e’tina ke saath
ham ne ye dil se ahd kiya hai ki ta-hayat
‘nudrat’ vafa karenge ham us bevafa ke saath
Leave a Reply