raha na hosh kya ishq men ye kiya ham ne
buton ko sajda kiya jaan kar khuda ham ne
hazar haif nahin kuchh khatar ki roz-e-alast
isi zaban se kaha tha bala-bala ham ne
buton ka ishq hua jab nasib vaaiz
ki muddaton kiya pahle khuda khuda ham ne
tumhin to aa gae do-din men jaur-o-zulm-o-sitam
tamam-umr men sikhi hai ik vafa ham ne
suna hai kahta tha ‘aughat’ ki din-o-iman bhi
nisar hazrat-e-‘varis’ pe kar diya ham ne
Leave a Reply