Sirf Ek Soz to Mujh Mein Hai Magar Saz Nahin

sirf ik soz to mujh meñ hai magar saaz nahīñ

maiñ faqat dard huuñ jis meñ koī āvāz nahīñ

mujh se jo chāhiye vo dars-e-basīrat liije

maiñ ḳhud āvāz huuñ merī koī āvāz nahīñ

vo maze rabt-e-nihānī ke kahāñ se lā.ūñ

hai nazar mujh pe magar ab ġhalat-andāz nahīñ

phir ye sab shorish-o-hangāma-e-ālam kyā hai

isī parde meñ agar husn-e-junnūñ-sāz nahīñ

ātish-e-jalva-e-mahbūb ne sab phūñk diyā

ab koī parda nahīñ parda-bar-andāz nahīñ

Leave a Comment