hua kare agar us ko koi gila hoga
zaban khuli hai to phir kuchh to faisla hoga
kabhi kabhi to ye dil men saval uThta hai
ki is juda.i men kya us ne pa liya hoga
vo garm garm nafas kaise Thahrte honge
ab in shabon ko vo kaise guzarta hoga
kabhi jo guzrun tire shahr se to sochta huun
ki is zamin pe kya kya qadam paḌa hoga
ḳhusha vo raunaq-e-hangama-e-visal ab to
yaqin hi nahin aata ki yuun hua hoga
vo khoi khoi vafaon ka bhula-bisra giit
kabhi to us ke shabistan men bhi gaya hoga
nikal paḌe the yunhi ham to ek din ghar se
kise ḳhabar thi ki yuun tum se samna hoga
kabhi uThe hi nahin ham talash ko varna
koi to shahr men apna bhi ashna hoga
ye haul-nak ḳhamoshi juda.i ka ashob
main sochta huun ki yunhi raha to kya hoga
kis aarzu men uThe kis taraf chale ‘anjum’
is aadhi raat men ab kis ka dar khula hoga
Leave a Reply