• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lamhon Mein Ek Umr Ki Mehnat KHarab Ki

Lamhon Mein Ek Umr Ki Mehnat KHarab Ki

lamhon men ek umr ki mehnat ḳharab ki

is dhuup ne makan ki rangat ḳharab ki

raste men phuul dekh ke ham log Dar ga.e

kis ne hamare paanv ki aadat ḳharab ki

ujlat-pasand haath men aa.e hue the ham

kuchh gahakon ne puchh ke qimat ḳharab ki

ya.ani main us ke ba.ad bhi ḳhush huun ye soch kar

kamre ki jan-bujh ke halat ḳharab ki

vaise ye ishq kaun sa likkha tha baḳht men

ham ne to apni aap hi qismat ḳharab ki

kis ne hamare naam pe beche hain qahqahe

kis ne hamare naam ki shohrat ḳharab ki

tang aa ke asman se nikala gaya hamen

thoḌi bahut jo thi yahan vaq.at ḳharab ki

‘sahir’ junun-e-shauq men kya kya nahin kiya

miTTi palid ki kabhi izzat ḳharab ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Fikr Yahi Hai Har Ghadi Gham Yahi Subh O Sham Hai

poet

Mera Ahwal Chashm-E-Yar Sun Puchh

Aankh Ashk Bahane Pe Hai Mamur Minal-Ishq

Ye Jaur Ahl-E-Aza Par Mazid Karte Rahe

Mere Raqib Se Hans Kar Kalam Karte Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet