josh-e-junun bhi gardish-e-dauran se kam na tha
dil tha to dasht-e-gham bhi gulistan se kam na tha
rangini-e-jamal ki sarhad na thi koi
aur hausla bhi hita-e-imkan se kam na tha
kya kya basi thiin suraten daman-e-ḳhvab men
dasht-e-ḳhayal shahr-e-nigaran se kam na tha
har aarzu ko apni nihayat ki fikr thi
bazar-e-shauq hashr ke maidan se kam na tha
sach hai junun ki raah men iman gaya magar
pas-e-mizaj-e-yar bhi iman se kam na tha
avargi ko vus.at-e-sahra bhi kam rahi
dil ko jahan-e-shauq bhi zindan se kam na tha
ham ko na thi junun men tamiz-e-dimagh-o-dil
daman ka chaak chak-e-gareban se kam na tha
apne liye tha ba.is-e-abadi-e-nazar
be-saḳhta gurez jo paiman se kam na tha
dekha na ham ne yaan bhi shajar koi saya-dar
ya.ani dayar-e-ishq bayaban se kam na tha
mujrim nahin the phir bhi sata.e ga.e hamin
qaazi ba-zom-e-ḳhvesh sulaiman se kam na tha
rahon men zindagi ki luTi sab mata-e-hosh
uljhao un ka zulf-e-pareshan se kam na tha
dil par raqam thi ek se ik turfa dastan
koi bhi zaḳhm ‘arsh’ dabistan se kam na tha
Leave a Reply