ham se pahle to koi yuun na phira avara
dard avara dil avara vafa avara
kya use mil ga.i kuchh tere badan ki ḳhushbu
aaj phulon men nahin aa.i saba avara
jis ki nuzhat se do-bala thi vatan ki raunaq
shahr se duur mujhe vo bhi mila avara
main ne kab mujh se na milne ka gila tum se kiya
ab mujhe tum na kaho bahr-e-ḳhuda avara
phir tiri yaad ne siine men basera Daala
phir tire shahr men abad hua avara
be-karan vaqt ki bandish se mili azadi
chand lamhon ke liye main bhi hua avara
tohmat-e-qadr bhi hai jabr ki rusva.i men
pa-ba-zanjir ko bhi tum ne kaha avara
dhuup hai tapti hui ret hai virani hai
aaj dekha nahin vo abla-pa avara
bevafa logon ke hathon se chhuḌa kar daman
dil men kis shauq se phirti hai vafa avara
sochta huun ki use jab na mile sharaf-e-qubul
kin ḳhalaon men bhaTakti hai dua avara
ek andhi gham-e-janan ki zara Thahri thi
ik bagula gham-e-dauran ka uTha avara
kitni ankhon ke ta.aqub se hiraman ho kar
kunj-e-tanha.i men abad hua avara
ruḳh-e-raushan ki jhalak shart-e-vafa hai janan
teri galiyon ka pata bhuul gaya avara
ḳhema-zan phir se hui sehn-e-chaman bad-e-sumum
phir mire saath hui bad-e-saba avara
manzil-e-ishq pe pahunche to koi saath na tha
dil juda ḳhak-basar aankh juda avara
nutq viran hai alfaz pareshan hain ‘munir’
soch hai sang-e-giran aur sada avara
Leave a Reply