dil mubtala-e-hijr rifaqat men rah gaya
lagta hai koi farq mohabbat men rah gaya
is ghar ke do makin the ik peḌ aur main
ye hijr to kisi ki shararat men rah gaya
ik baar man.a karti hui shaam se to puchh
jo bhi juda hua vo haqiqat men rah gaya
mumkin tha tujh ko chhin hi leta jahan se
lekin main kya karun main mohabbat men rah gaya
ab tu hi meri ḳhali hatheli ki laaj rakh
mujh se to koi farq ibadat men rah gaya
tujh par hai koi zo.am na ḳhud par yaqin ‘nadim’
kuchh din ka ham men pyaar to aadat men rah gaya
Leave a Reply