ye daur-e-kam-nazaran hai to phir sila kaisa
ye apna ahd hai is ahd ka gila kaisa
bahut dinon se nahin mujh ko iztirab-e-ghazal
ruka hua hai ḳhayalon ka qafila kaisa
kahan ye shaam kahan mere ashna chehre
simaT raha hai tasavvur men fasla kaisa
kahan ye raat kahan teri bu-e-pairahan
chala tha aaj ḳhayalon ka silsila kaisa
ka.i charagh ka.i suraten ka.i saa.e
guzar raha hai na jaane ye qafila kaisa
Leave a Reply