gham-e-dost ko asa.ish-e-duniya se gharaz kya
bimar-e-mohabbat ko masiha se gharaz kya
sar-ta-ba-qadam banda-e-taslim-o-raza huun
mujh ashiq-e-sadiq ko tamanna se gharaz kya
kucha hai tira aur hai din-rat ka chakkar
vahshi ko tire gulshan-o-sahra se gharaz kya
va.ada na karo jalva-e-didar dikhao
imroz ke mushtaq ko farda se gharaz kya
tum baagh men jaate ho to gul khilte hain kya kya
phulon ko tumhare ruḳh-e-zeba se gharaz kya
aql itni kahan hai ki jo anjam ko soche
duniya ke talabgar ko uqba se gharaz kya
ahbab hain mai-ḳhana hai pahlu men hai ma.ashuq
ab hazrat-e-‘shankar’ ko tamanna se gharaz kya
Leave a Reply