• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Jhuka Mail Tabiat Ho Gai

dil Jhuka Mail Tabiat Ho Gai

ahsan-marahravi

dil jhuka maail tabi.at ho gai

aaj bismillah ulfat ho gai

mahv dil se sab shikayat ho gai

samne jab un ki surat ho gai

mera hal-e-zar to dekha magar

ye na puchha kyuun ye halat ho gai

vo fareb-e-naz de kar le gae

kitni arzan dil ki qimat ho gai

dil men jab tak aah thi ik baat thi

lab tak aate hi hikayat ho gai

jab na daala us ne aa kar koi phuul

gul hamari sham-e-turbat ho gai

fitna-sazi tak jo thi mashq ḳhiram

rafta rafta vo qayamat ho gai

kaisi matlab-ashna thi chashm-e-shoḳh

dil uḌaya aur champat ho gai

chashm pur nam ne kiya ifsha raaz

abru-e-zabt gharat ho gai

dil ki chalon ka natija ye hua

vaqt se pahle qayamat ho gai

de diya dil jis ko ham ne de diya

ho gai jis se mohabbat ho gai

kah gae ‘ahsan’ ke munh par aaj vo

teri surat se bhi nafrat ho gai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wahi Shikasta Cycle Wahi Udas Zindagi

Pichhli Shab KHwab Mohabbat Ka Dikhaya Gaya Tha

parveen-shakir

Ku-Ba-Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki

Ek Be-Rang Se Ghubar Mein Hun

poet

Ye Hadisa Hai Magar Us Taraf Hua Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet