vahshi ishq-e-junun kam bhi nahin karta hai
aur yuun bhi hai ki ab ram bhi nahin karta hai
toḌ bhi leta hai vo rabt-e-inayat ham se
rishta-e-dard ko mohkam bhi nahin karta hai
us ka shikva nahin kar sakte ki vo dil ke ta.iin
ḳhush nahin karta to barham bhi nahin karta hai
mujhe divar-e-ana se vo girata bhi nahin
aur uncha mira parcham bhi nahin karta hai
tabr-o-tegh hamari bhi dhari hai kab se
chheḌ muddat hui aalam bhi nahin karta hai
Leave a Reply