madad ai ḳhayal-e-mazi zara aa.ina uThana
main badal gaya huun ḳhud hi ki badal gaya zamana
mire ḳhaliq-e-gulistan ye saman na phir dikhana
ki ḳhud apni raushni men nazar aa.e ashiyana
ye hai jiddat-e-taḳhayyul to bhala kahan Thikana
milen bijliyon ke tinke to bana.un ashiyana
ye qafas qafas na rahta nazar aata ashiyana
mire bal-o-par se pahle mire dil ka TuuT jaana
ye na puchh phuul barse ki giri dilon pe bijli
zara dekh aa.ine men kabhi apna muskurana
mira ek ek aansu gham-e-fikr-e-do-jahan hai
kabhi ḳhushk karna daman kabhi astin sukhana
rag-o-pai men barq dauḌe yahi lutf-e-zindagi hai
mire muskurane vaale yunhi muskura.e jaana
mire sham-e-gham ki zinat mire ansuon ke taaro
tumhen kaam kya sahar se kahin tum na Duub jaana
kahun kya ‘siraj’ tum se jo guzar rahi hai dil par
ye qafas ki zindagi aur ye bahar ka zamana
Leave a Reply