dhuup halat ki ho tez to aur kya mango
kisi daman ki hava zulf ka saaya mango
us se kya kam hai kisi ke rukh-e-zeba ki ziya
mah-o-khurshid se kyuun un ka ujala mango
jis ke baad aur na rah jaae tamanna koi
mangna ho jo khuda se vo tamanna mango
khuub hai dard ki lazzat ye badi daulat hai
zakhm-e-dil ke liye marham na mudava mango
jis se chhai hui halat ki zulmat chhat jaae
tum to khurshid ho khud se vo ujala mango
gar shab-e-gham ko sahar chaho banana ‘asi’
kisi salma se ziya-e-rukh-e-zeba mango
Leave a Reply