mohabbat ho to barq-e-jism-o-jan ho
vo atish kya ki siine men nihan ho
nahin hua aur phir kahne ko yahan ho
harif-e-bad-guman ke ham guman ho
tahayyur-e-fart shauq-e-did se huun
vahin mujh ko bhi dekho tum jahan ho
suni jaati ho jab mahshar men rudad
to apni khatm kyunkar dastan ho
vo mustaghni sahi par dil gaya hai
jo phir ho to unhin par kuchh guman ho
jo sach ho vada-e-didar un ka
to baton men qayamat kyuun ayaan ho
mujhe sar phodne men uzr kya hai
magar un ka hi hi sang-e-astan ho
tumhen vo parda yahan hai parda-dari
mere dil men nahin to phir kahan ho
ruka jaata hai dam-e-sina men kya kya
gale par kaash khanjar sa ravan ho
chhupae ham se kya kya raaz apne
agar koi hamara raz-dan ho
rahe kyuun talkhi-e-farhad ka zikr
agar shirin ki shirin dastan ho
zulekha par na ho kyuun nazish-e-ishq
ki jab yusuf mata-e-karvan ho
adu khush khush hai kuchh kah kar suna hai
na manunga kabhi tum be-dahan ho
mila hai baithe rahne ka sahara
jahan ho aur tumhara astan ho
usi men faisla samjha huun dil ka
kahan tak dekhiye zabt-e-fughan ho
yahan baithe ho par kuchh ukhde ukhde
nazar milti nahin dil se kahan huun
sarapa soz hai ulfat men ‘anvar’
ajab kya hai agar atish-zaban ho
Leave a Reply