vo mujh men tha nihan main dekhta kya
pas-e-divar-e-jan main dekhta kya
kitab-e-zindagi zer-e-nazar thi
hadis-e-dil-baran main dekhta kya
mujhe chalna tha apne raste par
niahan-e-raftgan main dekhta kya
nazar men tha vo mahtab-e-tamanna
jamal-e-kahkashan main dekhta kya
fana ki zad pe tha bazar-e-duniya
yahan sud-o-ziyan main dekhta kya
miri ankhen bhari thiin ansuon se
sar-e-shahar-e-fughan main dekhta kya
Thikana tha mira dasht-e-junun men
ḳhirad ki bastiyan main dekhta kya
miri majburiyan bhi kam nahin thiin
tiri majburiyan main dekhta kya
use jab imtihan lena nahin tha
nisab-e-imtihan main dekhta kya
miri parvaz thi ‘shahid’ falak par
zamin ki pastiyan main dekhta kya
Leave a Reply