lutf kya hai be-khudi ka jab maza jaata raha
yuun na manun main magar saghar to samjhata raha
taaq se miina utara paanv men laghzish hui
ki na saaqi se barabar aankh sharmata raha
mujh sa ho mazbut dil tab mai-kashi ka naam le
mohtasib dekha kiya majbur jhhallata raha
kya karun aur kis tarah is be-qarari ka ilaaj
yaar ke kuche men bhi tu dil ko bahlata raha
naujavan qatil ko achchhi dil-lagi haath aa gai
jab talak kuchh dam raha bismil ko thukrata raha
‘shad’ vaqt-e-nazaa tha khamosh lekin der tak
naam rah rah kar kisi ka zer-e-lab aata raha
Leave a Reply