jaise dekha hai dikhaya bhi nahin ja sakta
ḳhvab ka haal sunaya bhi nahin ja sakta
phenki jaati bhi nahin raah men yaden us ki
aur ye bojh uThaya bhi nahin ja sakta
aks ko aankh se thama hai sar-e-ab-e-ravan
chand paani men bahaya bhi nahin ja sakta
do kinare bhi ye hote to mila deta main
dil ko duniya se milaya bhi nahin ja sakta
hote hote vo mujhe ishq-nagar le hi gaya
main ne sau baar bataya bhi nahin ja sakta
is jagah rah ke main aaya huun taḳhayyul vaalo
jis jagah soch ka saaya bhi nahin ja sakta
na-muradi ruḳh-e-qatil pe likhi rahti hai
ḳhuun ka daagh miTaya bhi nahin ja sakta
haal a.inda sunata chala jaata lekin
hansne valon ko rulaya bhi nahin ja sakta
varna din-rat main sar-toḌ mashaqqat karta
kya karun pyaar kamaya bhi nahin ja sakta
ab main kya raah nikalun ki juda.i jaa.e
us se aaya bhi bulaya bhi nahin ja sakta
dil hi mismar karen ahl-e-mohabbat ‘nayyar’
puura mahaul to Dhaya bhi nahin ja sakta
Leave a Reply