• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dosto Kya Kya diwali Mein Nashat-O-Aish Hai

dosto Kya Kya diwali Mein Nashat-O-Aish Hai

nazeer-akbarabadi

dosto kya kya divali men nashat-o-aish hai

sab muhayya hai jo is hangam ke shayan hai shai

is tarah hain kucha-o-bazar par naqsh-o-nigar

ho ayaan husn-e-nigarisatan ki jin se khuub re

garm-joshi apne ba-jam-e-charaghan lutf se

kya hi raushan kar rahi hai har taraf roghan ki mai

mail-e-sair-e-charaghan khalq har ja dam-ba-dam

hasil-e-nazzara husn-e-shama-ru yaan pai-ba-pai

ashiqan kahte hain mashuqon se ba-ijz-o-niyaz

hai agar manzur kuchh lena to hazir hain rupae

gar mukarrar arz karte hain to kahte hain vo shokh

ham se lete ho miyan takrar-e-hujjat ta-ba-kai

kahte hain ahl-e-qimar aapas men garm-e-ikhtilat

ham to dab men sau ruupe rakhte hain tum rakhte ho ke

jiit ka padta hai jis ka daanv vo kahta huun main

su-e-dast-e-rast hai mere koi farkhanda-pai

hai dasahre men bhi yuun gar farhat-o-zinat ‘nazir’

par divali bhi ajab pakiza-tar tyauhar hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rup Ke Panw Chumne Wale Sun Le Meri Bani

akhtar-ansari

Suna Ke Apne Aish-e-Tam Ki Rudad Ke Tukde

poet

Hasti Ki Qaid Se Ai Dil Aazad Hoiye

Ek Kutub-KHana Hun Apne Darmiyan Khole Hue

Nur Andhere Ki Fasilon Pe Saja Deta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet