ruḳhsat-e-yar ka mazmun ba-mushkil bandha
dil na bandhta tha kisi taur baḌa dil bandha
ham ne bhi bandh liya ziist ka asbab vahin
jab suna yar-e-safar-dar ne mahmil bandha
ham ne us chehre ko bandha nahin mahtab-misal
ham ne mahtab ko us ruḳh ke mumasil bandha
aur kya bandhte saman men ba-hangam-e-safar
sirf daman men ḳhas-e-kucha-e-qatil bandha
ham jo har gaam se paiman-e-vafa bandhte the
aḳhirash ham ne bhi azm-e-sar-e-manzil bandha
Leave a Reply