ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata
main aḳhiri charagh huun suraj ke shahr ka
bazm-e-sukut-e-dil men hai halchal machi hui
sarangiyan hain kis ke badan ki ghazal-sara
meri bayaz-e-dard vo paḌh kar bahut hanse
tha naam jin ka pahle varaq par likha hua
dekha ajiib ḳhvab amavas ki raat ne
ham chal rahe the chand pe donon barhana-pa
sho.alon ke haath the ki ThiThurte chale ga.e
phir barf ka libas kisi ne pahan liya
sone ki tashtari men saja kar na phuul bhej
ye khel mujh gharib se dekha na ja.ega
ḳhushbu ke ḳhvab men na Dhali zindagi magar
chandan ki lakḌiyon se jalana miri chita
kaghaz ki naav aag ke dariya men Daal di
kya jaane aur chahti kya hai tiri ana
ai dost is qadar bhi akela koi na ho
main ḳhud bhi apne saath nahin dusra to kya
ai ‘prem’ yuun to dhuum thi saare jahan men
apne hi ghar men koi hamen puchhta na tha
Leave a Reply