koi diya kisi chaukhaT pe ab na jalne ka
siyah raat ka manzar nahin badalne ka
vo rut badal ga.i sab se qarib rahne ki
zamana ḳhatm hua sab ke saath chalne ka
lo apne jurm ka iqrar kar rahe hain ham
hunar na aaya hamen baat ko badalne ka
kise hai aarzu tanha.iyon men jalne ki
kise hai shauq kisi ke liye pighalne ka
ye chahaton ka bhanvar hai siva.e maut ‘ḳhumar’
nahin hai rasta bahar koi nikalne ka
Leave a Reply