nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah
nigahen kah ga.i sab hal-e-dil zaban ki tarah
kiye the be-ḳhudi-e-shauq men jahan sajde
vahi zamin nazar aati hai asman ki tarah
nazar mili hai to pahchan jaa.e ahl-e-chaman
dikha.i dete hain gulchin bhi baghban ki tarah
kitab-e-zist ka shiraza-band koi nahin
bikhar ga.i hai kisi nazm-e-bostan ki tarah
na barg-o-bar na shadabiyan na ghuncha-o-gul
yahi bahar agar hai to hai ḳhizan ki tarah
tumhare shahr men muddat se ye tamanna hai
dikha.i de koi be-mehr mehrban ki tarah
ḳhuda-gavah ki ik umr ka asasa hai
na kyuun aziiz rakhun ilm-o-fan ko jaan ki tarah
kise bata.en ki the ham bhi ham-nashin ai ‘saif’
vo ‘taj’ bhuul ga.e yad-e-raftagan ki tarah
Leave a Reply