• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aadat Se Unki dil Ko Khushi Bhi Hai Gham Bhi Hai

Aadat Se Unki dil Ko Khushi Bhi Hai Gham Bhi Hai

poet

aadat se un ki dil ko khushi bhi hai gham bhi hai

ye lutf hai sitam bhi hai uzr-e-sitam bhi hai

ulfat mujhe jatate ho dil men bhi dard hai

rone ka munh banate ho ankhon men nam bhi hai

is but ka vasl tha to khudai ka aish tha

ye jante na the ki zamane men gham bhi hai

taskin mere dil ki aur us bevafa ka qaul

dil men fareb bhi hai labon par qasam bhi hai

ab aao mil ke so rahen takrar ho chuki

ankhon men niind bhi hai bahut raat kam bhi hai

naumidi bhi hai vasl se us ke umiid bhi

kuchh dard-e-dil badha bhi hai kuchh ranj kam bhi hai

ye baat gar na ho to kare kaun hausla

milna kisi ka sahl bhi hai aur alam bhi hai

jaata hai shak bhi kar gaya hai vahm men vo shokh

kuche men ghair hi ke nishan-e-qadam bhi hai

baham tapak bhi hain kabhi ranjishen bhi hain

lutf-o-karam bhi hai kabhi jaur-o-sitam bhi hai

aa jaaen vo magar mujhe aata nahin yaqin

qasid ka jo hai qaul vo khat men raqam bhi hai

bigde hue hain aaj khuda khair hi kare

kuchh bal bhi hai jabin pe kuchh abru pe kham bhi hai

mar jaate ham to kab ke ajal dekhti hai tu

fursat kisi ke gham se hamen koi dam bhi hai

kahne ko do makan hain kiin to hai ek hi

bait-us-sanam hai jo vahi bait-ul-haram bhi hai

yuun kah ke bhuul jaana ye khu aap hi ki hai

mujh ko vo yaad ahd bhi hai vo qasam bhi hai

jab kuchh kahun to kahte hain ye phir sununga main

phir aisa koi vaqt bhi hai koi dam bhi hai

kaisa visal o hijr agar fahm hai ‘nizam’

har haal men juda bhi hai vo aur baham bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

farah-iqbal

Zara Si Raat dhal Jae To Shayad Nind Aa Jae

Samundar Is Liye Ghabra Raha Hai

Is Darja Ishq Maujib-E-Ruswai Ban Gaya

Sitamgaron Ka Tariq-E-Jafa Nahin Jata

poet

Roz Khun Hote Hain do-Chaar Tere Kuche Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet