kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun
ruThne vaala ghar aa.e to lafzon men tarmim karun
mujh se bichhaḌ kar jaane vaale itna to samjhata ja
apne aap ko do hisson men kaise main taqsim karun
ahl-e-siyasat baanT rahe hain jaan se pyare logon ko
main sha.ir huun sach kahta huun kyuun un ki tazim karun
vo bhi zamana-saz hua hai tum bhi Thiik hi kahte ho
meri bhi majburi samjho kis dil se taslim karun
tujh se bichhaḌna qismat men tha jiina to majburi hai
soch raha huun ujḌe ghar ki phir se na.i tazim karun
koshish to ki laakh magar kuchh baat nahin banti ‘faruq’
soch raha huun saara manzar lafzon men tajsim karun
Leave a Reply