hansne vaale ab ek kaam karen
jashn-e-girya ka ehtimam karen
ham bhi kar len jo raushni ghar men
phir andhere kahan qayam karen
mujh ko mahrumi-e-nazzara qubul
aap jalve na apne aam karen
ik guzarish hai hazrat-e-naseh
aap ab aur koi kaam karen
aa chalen us ke dar pe ab ai dil
zindagi ka safar tamam karen
haath uthta nahin hai dil se ‘khumar’
ham unhen kis tarah salam karen
Leave a Reply