hayat-e-ishq ki ḳhurshid-samani nahin jaati
miTa jaata hai dil zarron ki tabani nahin jaati
jo kal tak khel samjhe the hamen barbad kar dena
ab un maghrur nazron ki pashemani nahin jaati
hamin par lutf ki barish hai lekin va.e-nadani
hamin se vo nigah-e-lutf pahchani nahin jaati
vatan kya jur.at-e-ahl-e-junun se ho gaya ḳhali
ḳhirad ki quvvat-e-tajdid-e-virani nahin jaati
bahar aa.i khile ghunche magar ai nazim-e-gulshan
hamare ashiyan ki sho.ala-samani nahin jaati
miri sahba ki azmat sirf ahl-e-dil samajhte hain
piye jaata huun lekin pak-damani nahin jaati
ye kis kafir-ada ka jalva-e-ma.asum dekha hai
‘ra.is’ ab tak miri nazron ki hairani nahin jaati
Leave a Reply