bazm-e-surud-e-khuban men go mardnagin shahin bajin
saath faqir ki dholak ke par dham-dhamyan rangin bajin
nala-kashi se raat jo gulshan rashk-e-bazm-e-ishrat tha
minqaren murghan-e-chaman ki subh talak juun biin bajin
tujh se na kahta tha main zahid mai-khane ki raah na chal
akhir tujh par raste hi men taliyan o be-din bajin
main jo nashe men raat hua ghatpat us maashuq ki chhati saath
pazeben paanv ki us ke kya hi ba-sad tamkin bajin
shama rahi shab jab tak jalti mujh ko na aai niind zara
jhanjhen parvane ke paron ki bas ki sar-e-balin bajin
balbe mizaj-e-nazuk tera niind uchat gai us gul ki
baliyan patton se jo ulajh kar raat sar-e-balin bajin
vaada kar ke jab vo na aaya sair-e-chaman ko dil ne kaha
raat gai chal baagh se ab ghadiyan to kai ghamgin bajin
ji ka kudhana mere tha manzur magar ghadyalon ki
vasl ki shab jo ta-ba-sahar ghadyalen be-ain bajin
dedh pahar thahrunga ye kah ki yaar mire ghar aaya tha
par ghabra ke jaane ko uttha junhi pahar par tiin bajin
bang-e-hamir se kam vo na samjha bas ki nafis-mizaj tha yaar
naqusen but-khanon men har chand ba-sad tazin bajin
aae bahtari ho ke malaek mar jo gaya ashiq tera
naubaten kya kya shadi ki marqad men dam-e-talqin bajin
vasl ki shab akhir hone ka ‘mushafi’ dhadka kya main kahun
ji hi gaya bas tan se nikal jab tiin pahar par tiin bajin
Leave a Reply