kuchh dinon apne ghar raha huun main
aur phir dar-ba-dar raha huun main
dusron ki ḳhabar to kya leta
ḳhud se bhi be-ḳhabar raha huun main
vaqt go ham-safar na tha mera
vaqt ka ham-safar raha huun main
zina-e-zat ka safar aur raat
dhire dhire utar raha huun main
yak-ba-yak kis tarah badal ja.un
rafta rafta sudhar raha huun main
tu bhi dekhe to ajnabi jaane
ab ke vo svang bhar raha huun main
be-haqiqat hai shor-e-shahr ki ab
gungunata guzar raha huun main
aag hai aur sulag rahi hai hayat
raakh huun aur bikhar raha huun main
Leave a Reply