muddat hui na mujh se mira rabta hua
ḳhud ko talash karte hue gum-shuda hua
sab rahnuma hai kaun kisi aur ki sune
manzil se duur yuun hi nahin qafila hua
aise mila vo aaj mujhe ajnabi laga
milna bhi jaise us ka koi saneha hua
lagti hai ab fuzul tire qurb ki dua
hona tha jab qarib tabhi fasla hua
main ne to bas kaha tha use janta huun main
phir shahr men ham hi pe baḌa tabsira hua
josh-e-junun men chupke se shah-rag hi kaaT li
kahne ko ko log kahte rahe hadisa hua
ḳhamosh do dilon men kahin mel tha zarur
varna tha kya sabab ki juda rasta hua
‘zakir’ ye zindagi ki haqiqat sarab hai
jab agahi mili to yahi tajraba hua
Leave a Reply