ek jhonka is tarah zanjir-e-dar khaḌka gaya
main ye samjha bhulne vaale ko main yaad aa gaya
umr bhar ki baat bigḌi ik zara si baat men
ek lamha zindagi bhar ki kama.i kha gaya
ai zamin tujh ko mohabbat se basane ke liye
asmanon ki bulandi se mujhe phenka gaya
inqilab-e-dahr bar-haq lekin aisa inqalab
vo kahin paa.e ga.e aur main kahin paaya gaya
a.ina dikhlane aa.e the pareshani ke din
tha mira chehra magar mujh se na pahchana gaya
aap ne apni zaban se jis ko apna kah diya
vo divana har jagah khoya hua paaya gaya
ḳhairiyat kya puchhte ho gesu-e-halat ki
vaqt hi uljha gaya tha vaqt hi suljha gaya
us taraf jaate hue ab dil dahalta hai ‘nazir’
zindagi men jis taraf se bar-ha aaya gaya
Leave a Reply