na ho jis ko kisi ka gham use kahiye to kya kahiye
jo sun kar haal ho barham use kahiye to kya kahiye
sabab hove to kiije tark kahiye be-sabab yaaro
ḳhafa hota ho jo har dam use kahiye to kya kahiye
bhali kar ke kahen us se to vo maane bura ulTa
jo shirini ko samjhe sam use kahiye to kya kahiye
nashe men raat din maḳhmur rahta hai vo ghairon men
hai us ka aur hi aalam use kahiye to kya kahiye
maza kahne ka ye hai ik kahe aur dusra maane
jo ho har baat men barham use kahiye to kya kahiye
samajh achchhe bure ki ho to kuchh kahna bhi lazim hai
ho yaksan jis ki madh-o-zam use kahiye to kya kahiye
zabani haal qasid se bhala ham ‘aish’ kya kahte
jo hove shaḳhs-e-na-mahram use kahiye to kya kahiye
Leave a Reply