baat karne men to jaati hai mulaqat ki raat
kya bari baat hai rah jaao yahin raat ki raat
zarre afshan ke nahin kirmak-e-shab-tab se kam
hai vo zulf-e-araq-alud ki barsat ki raat
zahid us zulf phans jaae to itna puchhun
kahiye kis tarah kati qibla-e-hajat ki raat
shaam se subh talak chalte hain jam-e-mai-e-aish
khuub hoti hai basar ahl-e-kharabat ki raat
vasl chaha shab-e-mearaj to ye uzr kiya
hai ye allah o payambar ki mulaqat ki raat
ham musafir hain ye duniya hai haqiqat men sara
hai tavaqquf hamen is ja to faqat raat ki raat
chal ke ab so raho baten na banao sahib
vasl ki shab hai nahin harf-e-hikayat ki raat
lailatul-qadr hai vaslat ki dua maang ‘amir’
is se behtar hai kahan koi munajat ki raat
Leave a Reply