• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Mujh Pe Qarz Hai Isko Utar Jaun Main

Jo Mujh Pe Qarz Hai Isko Utar Jaun Main

jo mujh pe qarz hai is ko utaar ja.un main

ye aur baat hai jiito ki haar ja.un main

kabhi main ḳhvab men dekhun hari bhari faslen

kabhi ḳhayal ke dariya ke paar ja.un main

ik aur ma.arka-e-jabr-o-iḳhtiryar sahi

ik aur lamha-e-taza guzar ja.un main

bikhar ga.e hain jo lamhe sameT luun un ko

bigaḌ ga.e hain jo naqshe sanvar ja.un main

kabhi to apni talab men bhi is tarah niklun

ḳhud apne-ap se begana-var ja.un main

lahu ka rang ki atish ka rang kuchh to ho

jo naqsh dab se ga.e hain ubhar ja.un main

mohabbaton ko na lag jaa.e nafraton ki nazar

ḳhuda kare ki har ik dukh sahar ja.un main

phir apna aks main apni hi zaat men dekhun

jo ho sake to har ik dukh ke paar ja.un main

kisi ke rang men ḳhud ko main rang luun ‘at.har’

javab aa.e na aa.e pukar ja.un main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jis Tarah do-Jahan Mein Khuda Ka Nahin Sharik

asrarul-haq-majaz

Nigah-E-Lutf Mat Uth Khugar-E-Alam Rahne de

abdul-ahad-saaz

Baja Ki Paband-e-Kucha-e-Naz Hum Hue The

ahmad-masoom

Kah dale Ghazlon Nazmon Mein Afsane Kya Kya

poet

Koi Jadu Jagana Chahta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet