sirf thoḌi si hai ana mujh men
varna baaqi hai bas ḳhala mujh men
andar andar mujhe ye khati hai
ek bhuki si hai bala mujh men
Dhah raha huun main ik khanDar ki tarah
ik bhaTakti hai aatma mujh men
ab har ik baat par main raazi huun
jaane ye kaun mar gaya mujh men
meri avargi se ghabra kar
muḌ gaya mera rasta mujh men
dekh kar mujh ko is qadar ḳhamosh
ek dariya utar gaya mujh men
main ne qaabu men us ko rakkha hai
vo jo rahta hai sar-phira mujh men
main tha aisa kahan ‘suhail’ kabhi
ab to hai koi dusra mujh men
Leave a Reply