• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Teri Be-ruKHi Meri Maut Thi Hua Iltifat Kabhi Kabhi

Teri Be-ruKHi Meri Maut Thi Hua Iltifat Kabhi Kabhi

teri be-ruḳhi miri maut thi hua iltifat kabhi kabhi

tire iltifat ki ḳhair ho ki mili hayat kabhi kabhi

rah-e-arzu men kahin kahin mujhe rok dete hain hadse

gham-e-ishq hai mira mustaqil gham-e-ka.enat kabhi kabhi

miri jumbish-e-lab-e-gham-zada jo tire mizaj pe baar hai

mire anso.on ki zaban se sun gham-e-dil ki baat kabhi kabhi

nahin ek haal men kuchh maza karo chashni bhi mujhe ata

miri zindagi ke sukut men na.i vardat kabhi kabhi

vo jahan kahin nazar aa ga.e baḌa ittifaq hasin raha

mujhe tirgi thi nasib men mili chand raat kabhi kabhi

main zamin-navard tha ishq men magar aise moḌ bhi aa ga.e

mah-o-mehr tak mujhe le gaya safar-e-hayat kabhi kabhi

tira ‘qaisar’ amn-o-sukun men bhi na bacha fareb-e-jamal se

tiri ik nigah se khul gaya dar-e-hadsat kabhi kabhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

uThao Sang Ki Hum Mein Sanak Bahut Hai Abhi

poet

Pahlu Mein Dil Hai Dard-E-Mohabbat Liye Hue

akhlaque-bandvi

Wahi Hai Gardish-e-dauran Wahi Lail-O-Nahaar Ab Bhi

poet

Kahan Kisi Ko Hosh Tha Kahan Kisi Mein Tab Thi

Sufi

Ho Gai Aam Mohabbat Ki Kahani Kitni

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet