tir-e-abru jab kaman tak aa ga.e
un ki zad men jism-o-jan tak aa ga.e
daagh sirat par lage the aur ham
basti-e-surat-garan tak aa ga.e
rafta rafta kam hua zabt-e-alam
dard-e-jan meri zaban tak aa ga.e
ham ko bhi ik gul-badan ki chaah thi
ham bhi koi gulsitan tak aa ga.e
manzil-e-maqsud bhi dikhne lagi
ham jo mir-e-karvan tak aa ga.e
yaad aaya jab hamen bachpan bahut
ham khilaunon ki dukan tak aa ga.e
qatilon ke paas thi daulat apaar
un ke haq men hukmaran tak aa ga.e
mausam-e-gul sirf yadon men hai ab
umr guzri ham ḳhizan tak aa ga.e
Leave a Reply