banT Kar Humne Zauq-E-Binai

baañT kar ham ne zauq-e-bīnā.ī

raushnī shahr shahr phailā.ī

tham ga.e ashk chhup ga.e taare

ho ga.ī chāñd kī pazīrā.ī

tujh se milne zarūr ā.ūñgā

koī sūrat agar nazar aa.ī

aur kuchh der saath rahnā thā

ai mirī jur.at-e-shakebā.ī

tere aane kā shukriya lekin

mujh ko raas aa ga.ī hai tanhā.ī

ek hī qadr-e-mushtarak hai bahut

tū bhī harjā.ī maiñ bhī harjā.ī

Duub kar bahr-e-ishq meñ ‘nusrat’

marne vāloñ ne zindagī paa.ī

Leave a Comment