• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dukh to Dukh the Jo Idhar Bahr-E-Aman Aa Nikle

Dukh to Dukh the Jo Idhar Bahr-E-Aman Aa Nikle

poet

dukh to dukh the jo idhar bahr-e-aman aa nikle

aap is dil ke ḳharabe men kahan aa nikle

ik zara nikle to avaz daba den apni

kya karen chup ka agar us ki zaban aa nikle

jaane kab qahqahe rona paḌen ahbab ke saath

jaane atraf men kab shahr-e-fughan aa nikle

kuchh to dil-jui chale dhup-numa ḳhvahish ki

dasht men tazkira-e-abr-e-ravan aa nikle

mere qadmon se kare junhi masafat aghaz

zad-e-rah men se usi vaqt ziyan aa nikle

dekhte dekhte suraj ka lahu shaam hui

shab ke alam the jitne bhi ba-jan aa nikle

apne sahra se bandhe pyaas ke maare hue ham

muntazir hain ki idhar koi kuaan aa nikle

kya main phir bhi na karun aag sulagne ka guman

jab miri saans ki naali men dhuan aa nikle

a.ine bech ke ab chalte bano ‘ḳhavar’ tum

is se pahle ki koi sang-e-giran aa nikle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sultan Baho

Ishq Aasanun Lisyan Jata Kar Ke Aawe dhai Hu

Jab Hijr Ke Shahr Mein Dhup Utri Main Jag paDa to KHwab Hua

Jaanib-E-Dasht Kabhi Tum Bhi Nikal Kar Dekho

shad-azimabadi

Jahan Hai Maktab-E-Hasti Sabaq Hai Chup Rahna

Mera Dil Na Tha Alam-Ashna Ki Teri Ada Pe Nazar paDi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet