haath malvati hain huron ko tumhari chudiyan
pyari pyari hai kalai pyari pyari chudiyan
band kar deti hain sab ko pyari pyari chudiyan
bolti hain laakh men badh kar tumhari chudiyan
ai buto sarkash agar ho atish-e-rang-e-hina
shoala-e-javvala ban jaaen tumhari chudiyan
barhami halqa-bagoshon ki unhen manzur hai
phuut dalvati hain lakhon men tumhari chudiyan
huron ki ankhon ke halqe ai pari maujud hain
in butanon se chadhao pyari pyari chudiyan
dil men chhed kar khuun ki bundon se har reza bhare
tuut kar ban jaaen bunde ki katari chudiyan
sarv-qamat hain hazaron dam-e-ulfat men asiir
tauq-e-qumri hain tumhari pyari pyari chudiyan
sadqe hoti hain barabar un kalai pahunchon par
gird phirti hain khushi se baari baari chudiyan
dast-e-nazuk ne zamane ko kiya halqa-ba-gosh
kya khule bandon nazar aaiin tumhari chudiyan
ai falak un ko nahin bhata sitaron ka bhi jod
kahte hain meri bala pahne kunvari chudiyan
ru-e-raushan par jo tum ne haath rakha naaz se
chand ka haala nazar aaiin tumhari chudiyan
huren bhejengi tujhe ai rashk-e-gul firdaus se
laegi mashshata-e-fasl-e-bahari chudiyan
kyuun na nikle nok khun-rezi ke har andaz men
laut kar bhi dil men chubhti hain tumhari chudiyan
bal nikala saikdon bankon ka dast-e-naz se
baank ke fan men huiin yakta tumhari chudiyan
khuun ki bunden bani hain chunniyan yaqut ki
dil men chubh kar de rahi hain zakhm-e-kari chudiyan
kyuun na hon halqa-ba-gosh aa kar hasinan-e-bahisht
huron ke kanon ki baali hain tumhari chudiyan
main ne hatha-pai jab ki sard-mohre se kaha
garm-joshi se huiin thandi hamari chudiyan
dekh lo ai gul-rukho murghan-e-dil paband hain
baal ke phande ki surat hain tumhari chudiyan
karte hain apne zabanon men tire hathon ka vasf
bolti hain ek munh ho kar sitari chudiyan
har sitare ki chamak nur-e-jahan-e-husn hai
rakhti hain hukm-e-jahangiri tumhari chudiyan
jaan pad jaati hai dast-e-naz se har chiiz men
rang ban kar chadhti hain hathon men saari chudiyan
go guhar ho ai pari naz-e-nigah-e-hur ka
ainak-e-rizvan ki halqa hain tumhari chudiyan
kar ke hatha-pai doli men kiya un ko savar
saaf thandi ho gaiin vaqt-e-savari chudiyan
bundon ke halqe nahin padte hain ai gul nahr men
dalta hai hindu-e-abr-e-bahari chudiyan
khuun lakhon ka kiya karte hain har jhankar se
khuub sachcha jod chalti hain tumhari chudiyan
ghair devdhi par kiya karte hain araish ka zikr
halqa-e-bairun-e-dar thahri tumhari chudiyan
naaz se farmate hain luun kis tarah tera salam
haath uth sakte nahin aisi hain bhari chudiyan
utri padti hain phisal kar dast-e-nazuk se mudam
kis tarah thahren kalai men tumhari chudiyan
maar daala atish-e-gham ne jala kar ai ‘munir’
thandi kar diin sog men us gul ne saari chudiyan
Leave a Reply