hai tasavvur mujhe har dam tiri yaktai ka
mashghala aath pahar hai yahi tanhai ka
ishq men rashk hamesha se chala aata hai
dekho qabil ne kya haal kiya bhaai ka
jam-e-sail ki tarah hain miri ankhen dar dar
jab se ashiq kisi kafir-e-shaidai ka
ishq-e-kamil jo hua nang kahan aar kahan
dhyan badmast ko rahta nahin rusvai ka
hijr men gardish-e-behuda jo hai ai saaqi
jaam kya kasa-e-sar hai kisi saudai ka
meri ankhon ne tujhe dekh ke vo kuchh dekha
ki zaban-e-mizha par shikva hai binai ka
qadam aghyar ka rakhna ho gavara kyuun kar
tere dar par hai mujhe shaghl jabin-sai ka
mujh se rahta hai ramida vo ghazal-e-shahri
saaf sikha hai chalan ahu-e-sahrai ka
hijr men chatke jo ghunche hui avaz tufang
sehn-e-gulzar hai maidan-e-saf-arai ka
jis ne dekha tujhe ai yaar hua divana
hai tamasha tire har ek tamashai ka
sabza rangon ka ye hai khaak muqarrar ‘nasikh’
sabz rang is liye aata hai nazar kaai ka
Leave a Reply